Hostgator Hosting Par WordPress Install kaise Kare Hindi | easy steps in 7 minutes

Apko Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install Karne ki full details guide kiya gaya hai. Yani ki apko step by step jankari milegi. Bahut
Assan hai. Aap post read karne ke bad 10 minute me Hostgator Hosting Par WordPress Install kar sakto. बिना किसी technical knowledge ke wordpress install kar skte ho. Chaliye ab start karte hai.
 
Hostgator India par aapke domain or hosting ko manage karne ka c panel hota hai. jis par hum WordPress ke alawa or bhi bahut kuch install kar sakte ho. is post me mai aapko step by step bataunga ki kaise hostgator ke cpanel me ja kar WordPress blog install karte hai.
Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install kaise Kare
 
 
 

Hostgator Hosting Par WordPress Install Hindi

 
Hostgator se Hosting lene ke bad sabse pahla kam hota hai. Domain ko hosting server se connect karna hota hai. Agar apne Domain  ko hosting server se connect nahi kiya hai to ye post padho. Esme step by step jankari diya gaya hai.
 
To start ho ja manage.hostgator.in  site ko open karo. Email ya user aur password dal ke login karo.
 
Manage Order>>List/Search Orders par click kijiye.
Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install kaise Kare
 
 
Domain par click kijiye.
Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install kaise Kare
 
Next page par scroll down kijiye. Jaha par apko Multi Domain Linux Hosting (India ) dikhega. Apke hosting plan par depend karta hai. Apne  kaun sa plan liya hai. Agar apne Multi Domain Linux Hosting liya to apko same post ki tarah fallow karna hoga. ( Agar apne koi  dusra plan liya hai to koi problem ki bat nahi hai. Aapka jo plan hai us par click kijiye. Baki sab same hai.
manage-web-hosting-hostgator
 
 
Ab Manage Web Hosting par click kare. Click karne ke bad ek  new page open hoga jisme apko continue par click karna hai. Continue par click karne ke bad hostgator india ka c panel open
hoga. Aapko Hostgator.in ka cpanel aisa दिखेगा
 
Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install kaise Kare
 
 
Ye apka Hostgator ka c panel open ho gaya. Ab scroll down kijiye. Ab niche apko Software and service me apko softaculous par click karna hai.
Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install kaise Kare
 
WordPress par click karte hi aap WordPress installation forum par pahuch jaoge. jaha aapko kuch basic settings karni hai.
Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install kaise Kare
 
install par click karne bad wordpress blog install page open hoga. isme sahi jankari bhar le.
Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install kaise Kare
 
  1. Choose Protocol: yaha par aapko ye decide karna hai ki blog www ke sath open ho ya bina www ke, in my case mai aapko suggest karunga ki short domain better hota hai. so ise bina www ke hi rahne de.
  2. Choose Domain: jis par aap wordpress blog install karna chahte hai. wo domain select kare.
  3. In Directory: isme wp hoga. mai aapko ise remove karne ki advice dunga. kyuki isse aapko blog example.comwp se open hoga. so example.com se open karne ke liye wp ko remove kar de.
  4. Site Name: apne blog ka koi name choose kare.
  5. Site Description: blog ke bare me 4-6 words ka description likhe.  (aap bad me bhi site name or site description change kar sakte ho.)
Admin Account
Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install kaise Kare
 
 
 
  1. Admin Username: Blog ka  Username choose kare.
  2. Admin Password: strong password select kare.
  3. Admin Email: aap jis email se wordpress blog manage karna chahte ho. wo email address bhare. yaad rahe is email address par WordPress blog install karne ke bad ek email aata hai. Jisme password aur username aata hai.
Advanced options
Hostgator Hosting Par WordPress Blog Install kaise Kare
 
 
  1. auto upgrade ke samne tick kare.
  2. automatic backup’s ke samne once a day select kare.
  3. apna email address bhare.
  4. finally Install par click kare.
Install par click karte hi apka blog install hona start ho jayega. isme 2-3 minutes lag sakte hai. Hostgator Hosting Par WordPress Install compete hote hi aapke email par ek message aa jayega. usme aapke WordPress blog ki user name aur password milega.  Aur apke c panel ke user name aur password bhi isi email id pa milega.
 
 
 
 
 
 
 
Apne Hostgator Hosting Par WordPress Install kar liya. koi help chahiye to comment kijiye . Aap Ki help kiya jayega. Post acha laga to social site par share kare.
 
 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.